Wahm Nahin Hai

Dhalte Dhalte

ek rupahle manzar ne kuchh socha palTa

pagDanDi sunsan paDi thi

maTyali aur sard hawaen

hath jhulati shaKHen

rukhe sukhe patte

tanha peD pe baiThe baiThe

chaTaKH rahe the

TuT rahe the

KHak uDati pagDanDi par

sham samay ka dhundla baadal

jhukne laga tha

Dhalte Dhalte

ek rupahle manzar ki un bhed bhari

aankhon mein koi

jugnu chamka tara TuTa wahm nahin hai

aaj un khoi khoi

bojhal aankhon mein

koi jugnu chamka

tara TuTa

lahza bhar ko

wahm nahin hai

(998) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahm Nahin Hai In English By Famous Poet Gulnaz Kausar. Wahm Nahin Hai is written by Gulnaz Kausar. Read famous Poem Wahm Nahin Hai for youth and Student by Gulnaz Kausar. Free Download Wahm Nahin Hai in PDF.