Yaad Nahin Hai

dhire dhire bahne wali

ek saloni sham ajab thi

uljhi suljhi KHamoshi ki

narm tahon mein

silwaT silwaT bhed chhupa tha

sardili maKHmur hawa mein

miTha miTha lams ghula tha

dhire dhire

KHwab ki gili rit pe utre

dard ke manzar pighal rahe the

KHwahish ke gumnam jazire

sahil par phaili KHushbu ke

margholon ko nigal rahe the

dhire dhire

jaane kaun se mausam ke

do phul khile the

shahad bhari sargoshi sun kar

jhuke jhuke se

honT hanse the

baDhne laga tha ek anokha

san san karta

be-kal naghma

yaad nahin hai

kahan gire the

meri baali

us ka chashma

(916) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaad Nahin Hai In English By Famous Poet Gulnaz Kausar. Yaad Nahin Hai is written by Gulnaz Kausar. Read famous Poem Yaad Nahin Hai for youth and Student by Gulnaz Kausar. Free Download Yaad Nahin Hai in PDF.