Na Koi Din Hota Hai Na Koi Zat Hoti Hai

na koi din hota hai na koi zat hoti hai

mohabbat karne walon ki nirali baat hoti hai

bisat-e-zist par hum chaal chalte hain qarine se

zara si chuk ho jae to bazi mat hoti hai

hiqarat ki nazar se dekhte hain log mahfil mein

gharibon ki bhala duniya mein kya auqat hoti hai

buzurgon ki duaen hain jo sar jhukne nahin detin

KHushi aur gham wagarna kis ke bas ki baat hoti hai

aur un se ye muamma aaj tak hal ho nahin paya

ki din aata hai pahle ya ki pahle raat hoti hai

kisi ne sach kaha hai ek tamasha-gah hai duniya

khilaunon ki magar chabi KHuda ke hat hoti hai

KHizan ka daur ho ya wo bahaaron ka zamana ho

koi mausam ho ai 'gulshan' hamari baat hoti hai

(616) Peoples Rate This

Gulshan Barelvi's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Na Koi Din Hota Hai Na Koi Zat Hoti Hai In English By Famous Poet Gulshan Barelvi. Na Koi Din Hota Hai Na Koi Zat Hoti Hai is written by Gulshan Barelvi. Read famous Poem Na Koi Din Hota Hai Na Koi Zat Hoti Hai for youth and Student by Gulshan Barelvi. Free Download Na Koi Din Hota Hai Na Koi Zat Hoti Hai in PDF.