Aaine Ka Munh Bhi Hairat Se Khula Rah Jaega

aaine ka munh bhi hairat se khula rah jaega

jo bhi dekhega tujhe wo dekhta rah jaega

hum ne sab kuchh taj diya teri rifaqat ke liye

tujh se bichhDe to hamare pas kya rah jaega

mil sakenge kis tarah KHwabon mein hum jab hijr se

nind ho jaegi ruKHsat ratjaga rah jaega

hum agar teri raza hasil nahin kar paenge

umr bhar hum se hamara dil KHafa rah jaega

jaane walon ki kami puri kabhi hoti nahin

aane wale aaenge phir bhi KHala rah jaega

murtaish aawaz ki lahren rahengi der tak

saz chup ho jaenge sail-e-sada rah jaega

'hir' ko 'gulzar' le jaenge kheDe ek din

bansuri par tu dhunen hi chheDta rah jaega

(1053) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaine Ka Munh Bhi Hairat Se Khula Rah Jaega In English By Famous Poet Gulzar Bukhari. Aaine Ka Munh Bhi Hairat Se Khula Rah Jaega is written by Gulzar Bukhari. Read famous Poem Aaine Ka Munh Bhi Hairat Se Khula Rah Jaega for youth and Student by Gulzar Bukhari. Free Download Aaine Ka Munh Bhi Hairat Se Khula Rah Jaega in PDF.