Mohabbat Ke Siwa Harf-o-bayan Se Kuchh Nahin Hota

mohabbat ke siwa harf-o-bayan se kuchh nahin hota

hawa sakin rahe to baadban se kuchh nahin hota

chalun to maslahat ye kah ke panw tham leti hai

wahan jaana bhi kya hasil jahan se kuchh nahin hota

zarurat-mand hai sai-afgani mashshaq hathon ki

faqat yakjai-e-tir-o-kaman se kuchh nahin hota

musalsal barishen bhi sabza-o-gul la nahin saktin

zamin jab be-numu ho aasman se kuchh nahin hota

talafi ke liye darkar hai aaina-sazi bhi

shikast-e-shisha par zikr-e-zaban se kuchh nahin hota

KHala mein tir-andazi se kya 'gulzar' paoge

mayassar is junun-e-raegan se kuchh nahin hota

(745) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohabbat Ke Siwa Harf-o-bayan Se Kuchh Nahin Hota In English By Famous Poet Gulzar Bukhari. Mohabbat Ke Siwa Harf-o-bayan Se Kuchh Nahin Hota is written by Gulzar Bukhari. Read famous Poem Mohabbat Ke Siwa Harf-o-bayan Se Kuchh Nahin Hota for youth and Student by Gulzar Bukhari. Free Download Mohabbat Ke Siwa Harf-o-bayan Se Kuchh Nahin Hota in PDF.