Dhul Na Banna Aainon Par Bar Na Hona

dhul na banna aainon par bar na hona

binai ke raste ki diwar na hona

shahron ka wirsa hain jalte-bujhte manzar

rahna lekin ham-rang-e-bazar na hona

zahr-hawaen purwa rangon mein chalti hain

sada kaliyo un ke liye gulnar na hona

milne ka khilne ka mausam dur nahin hai

naKHl-e-matam ai mere ashjar na hona

main ne chaman ki KHatir kaun se dukh jhele hain

shaKH-e-bahaaran mere liye gul-bar na hona

(741) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dhul Na Banna Aainon Par Bar Na Hona In English By Famous Poet Gulzar Vafa Chaudari. Dhul Na Banna Aainon Par Bar Na Hona is written by Gulzar Vafa Chaudari. Read famous Poem Dhul Na Banna Aainon Par Bar Na Hona for youth and Student by Gulzar Vafa Chaudari. Free Download Dhul Na Banna Aainon Par Bar Na Hona in PDF.