Muntashir Ho Kar Rahe Ye Aisa Shiraaza Na Tha

muntashir ho kar rahe ye aisa shiraaza na tha

KHak ho jaana mere hone ka KHamyaza na tha

main butun-e-zat mein aur tu KHala mein gum raha

KHak ke jauhar ka hum donon ko andaza na tha

aab-pashi se rahe ghafil shajar-kari ke baad

ab jo dekha ek pauda bhi tar-o-taza na tha

hum mein jo aazad tha aazad-tar ho kar raha

ab wahi be-ghar hai jis ke ghar ka darwaza na tha

jabr ke ehsas ki aawaz to pahle bhi thi

inqalab-e-qismat-e-adam ka aawaza na tha

(665) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Muntashir Ho Kar Rahe Ye Aisa Shiraaza Na Tha In English By Famous Poet Gulzar Vafa Chaudari. Muntashir Ho Kar Rahe Ye Aisa Shiraaza Na Tha is written by Gulzar Vafa Chaudari. Read famous Poem Muntashir Ho Kar Rahe Ye Aisa Shiraaza Na Tha for youth and Student by Gulzar Vafa Chaudari. Free Download Muntashir Ho Kar Rahe Ye Aisa Shiraaza Na Tha in PDF.