Aankhon Mein Jal Raha Hai Pa Bujhta Nahin Dhuan

aankhon mein jal raha hai pa bujhta nahin dhuan

uThta to hai ghaTa sa barasta nahin dhuan

palkon ke Dhanpne se bhi rukta nahin dhuan

kitni unDelin aankhen pa bujhta nahin dhuan

aankhon se aansuon ke marasim purane hain

mehman ye ghar mein aaen to chubhta nahin dhuan

chulhe nahin jalae ki basti hi jal gai

kuchh roz ho gae hain ab uThta nahin dhuan

kali lakiren khinch raha hai fazaon mein

baura gaya hai munh se kyun khulta nahin dhuan

aankhon ke pochhne se laga aag ka pata

yun chehra pher lene se chhupta nahin dhuan

chingari ek aTak si gai mere sine mein

thoDa sa aa ke phunk do uDta nahin dhuan

(2236) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Mein Jal Raha Hai Pa Bujhta Nahin Dhuan In English By Famous Poet Gulzar. Aankhon Mein Jal Raha Hai Pa Bujhta Nahin Dhuan is written by Gulzar. Read famous Poem Aankhon Mein Jal Raha Hai Pa Bujhta Nahin Dhuan for youth and Student by Gulzar. Free Download Aankhon Mein Jal Raha Hai Pa Bujhta Nahin Dhuan in PDF.