Kahin To Gard UDe Ya Kahin Ghubar Dikhe

kahin to gard uDe ya kahin ghubar dikhe

kahin se aata hua koi shahwar dikhe

KHafa thi shaKH se shayad ki jab hawa guzri

zamin pe girte hue phul be-shumar dikhe

rawan hain phir bhi ruke hain wahin pe sadiyon se

baDe udas lage jab bhi aabshaar dikhe

kabhi to chaunk ke dekhe koi hamari taraf

kisi ki aankh mein hum ko bhi intizar dikhe

koi tilismi sifat thi jo is hujum mein wo

hue jo aankh se ojhal to bar bar dikhe

(1867) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahin To Gard UDe Ya Kahin Ghubar Dikhe In English By Famous Poet Gulzar. Kahin To Gard UDe Ya Kahin Ghubar Dikhe is written by Gulzar. Read famous Poem Kahin To Gard UDe Ya Kahin Ghubar Dikhe for youth and Student by Gulzar. Free Download Kahin To Gard UDe Ya Kahin Ghubar Dikhe in PDF.