Kanch Ke Pichhe Chand Bhi Tha Aur Kanch Ke Upar Kai Bhi

kanch ke pichhe chand bhi tha aur kanch ke upar kai bhi

tinon the hum wo bhi the aur main bhi tha tanhai bhi

yaadon ki bauchhaaron se jab palken bhigne lagti hain

sondhi sondhi lagti hai tab mazi ki ruswai bhi

do do shaklen dikhti hain is bahke se aaine mein

mere sath chala aaya hai aap ka ek saudai bhi

kitni jaldi maili karta hai poshaken roz falak

subh hi raat utari thi aur sham ko shab pahnai bhi

KHamoshi ka hasil bhi ek lambi si KHamoshi thi

un ki baat suni bhi hum ne apni baat sunai bhi

kal sahil par leTe leTe kitni sari baaten kin

aap ka hunkara na aaya chand ne baat karai bhi

(2764) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kanch Ke Pichhe Chand Bhi Tha Aur Kanch Ke Upar Kai Bhi In English By Famous Poet Gulzar. Kanch Ke Pichhe Chand Bhi Tha Aur Kanch Ke Upar Kai Bhi is written by Gulzar. Read famous Poem Kanch Ke Pichhe Chand Bhi Tha Aur Kanch Ke Upar Kai Bhi for youth and Student by Gulzar. Free Download Kanch Ke Pichhe Chand Bhi Tha Aur Kanch Ke Upar Kai Bhi in PDF.