Khuli Kitab Ke Safhe UlaTte Rahte Hain

khuli kitab ke safhe ulaTte rahte hain

hawa chale na chale din palaTte rahte hain

bas ek wahshat-e-manzil hai aur kuchh bhi nahin

ki chand siDhiyan chaDhte utarte rahte hain

mujhe to roz kasauTi pe dard kasta hai

ki jaan se jism ke baKHiye udhaDte rahte hain

kabhi ruka nahin koi maqam-e-sahra mein

ki Tile panw-tale se sarakte rahte hain

ye roTiyan hain ye sikke hain aur daere hain

ye ek duje ko din bhar pakaDte rahte hain

bhare hain raat ke reze kuchh aise aankhon mein

ujala ho to hum aankhen jhapakte rahte hain

(3170) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khuli Kitab Ke Safhe UlaTte Rahte Hain In English By Famous Poet Gulzar. Khuli Kitab Ke Safhe UlaTte Rahte Hain is written by Gulzar. Read famous Poem Khuli Kitab Ke Safhe UlaTte Rahte Hain for youth and Student by Gulzar. Free Download Khuli Kitab Ke Safhe UlaTte Rahte Hain in PDF.