KHuda

pure ka pura aakash ghuma kar bazi dekhi main ne!

kale ghar mein suraj rakh ke

tum ne shayad socha tha mere sab mohre piT jaenge

main ne ek charagh jala kar

apna rasta khol liya

tum ne ek samundar hath mein le kar mujh par Dhil diya

main ne nuh ki kashti ke upar rakh di

kal chala tum ne aur meri jaanib dekha

main ne kal ko toD ke lamha lamha jina sikh liya

meri KHudi ko tum ne chand chamatkaron se marna chaha

mere ek payaade ne tera chand ka mohara mar liya

maut ko shah de kar tum ne samjha tha ab to mat hui

main ne jism ka KHol utar ke sonp diya aur ruh bacha li!

pure ka pura aakash ghuma kar ab tum dekho bazi!!

(2661) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHuda In English By Famous Poet Gulzar. KHuda is written by Gulzar. Read famous Poem KHuda for youth and Student by Gulzar. Free Download KHuda in PDF.