Ruh Dekhi Hai Kabhi!

ruh dekhi hai?

kabhi ruh ko mahsus kiya hai?

jagte jite hue dudhiya kohre se lipaT kar

sans lete hue us kohre ko mahsus kiya hai?

ya shikare mein kisi jhil pe jab raat basar ho

aur pani ke chhpakon mein baja karti hain Tullian

subkiyan leti hawaon ke bhi bain sune hain?

chaudhwin-raat ke barfab se ek chand ko jab

Dher se sae pakaDne ke liye bhagte hain

tum ne sahil pe khaDe girje ki diwar se lag kar

apni gahnati hui kokh ko mahsus kiya hai?

jism sau bar jale tab bhi wahi miTTi hai

ruh ek bar jalegi to wo kundan hogi

ruh dekhi hai, kabhi ruh ko mahsus kiya hai?

(3722) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ruh Dekhi Hai Kabhi! In English By Famous Poet Gulzar. Ruh Dekhi Hai Kabhi! is written by Gulzar. Read famous Poem Ruh Dekhi Hai Kabhi! for youth and Student by Gulzar. Free Download Ruh Dekhi Hai Kabhi! in PDF.