Tishna-e-takmil Hai Wahshat Ka Afsana Abhi

tishna-e-takmil hai wahshat ka afsana abhi

waqif-e-sud-o-ziyan hai tera diwana abhi

kyun na ho qurban sham-e-husn ke jalwon pe dil

apne jalwon se hai na-waqif ye parwana abhi

gul charagh-e-dair hai KHamosh hai sham-e-haram

saqiya raushan hai tere dam se mai-KHana abhi

ya tajalli tur ki hai KHud hijab-andar-hijab

ya nahin zauq-e-nazar apna kalimana abhi

dur hai manzil meri ek jam ai pir-e-mughan

rah mein aaenge kaba aur but-KHana abhi

dastan 'mansur' ki be-kaif ho sakti nahin

muddaton dohraegi duniya ye afsana abhi

(597) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tishna-e-takmil Hai Wahshat Ka Afsana Abhi In English By Famous Poet Gyan Chand Mansoor. Tishna-e-takmil Hai Wahshat Ka Afsana Abhi is written by Gyan Chand Mansoor. Read famous Poem Tishna-e-takmil Hai Wahshat Ka Afsana Abhi for youth and Student by Gyan Chand Mansoor. Free Download Tishna-e-takmil Hai Wahshat Ka Afsana Abhi in PDF.