Ab Talak Tund Hawaon Ka Asar Baqi Hai

ab talak tund hawaon ka asar baqi hai

ek charagh aur sar-e-rahguzar baqi hai

wo hamari nahin sunta to gila hai kaisa

ab kahan apni duaon mein asar baqi hai

dil mein baqi hain faqat chand lahu ke qatre

ab mere pas yahi zad-e-safar baqi hai

phir bana lenge usi ja pe nasheman apna

aashiyan jis pe tha wo shaKH-e-shajar baqi hai

masiyat ashk nadamat se bhi dhul jati hai

mutmain hun ki abhi dida-e-tar baqi hai

jab wo chahe mujhe do-nim kare aa ke 'habab'

dast-e-qatil mein yahi ek hunar baqi hai

(588) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Talak Tund Hawaon Ka Asar Baqi Hai In English By Famous Poet Habab Hashmi. Ab Talak Tund Hawaon Ka Asar Baqi Hai is written by Habab Hashmi. Read famous Poem Ab Talak Tund Hawaon Ka Asar Baqi Hai for youth and Student by Habab Hashmi. Free Download Ab Talak Tund Hawaon Ka Asar Baqi Hai in PDF.