Hain Dhabbe Tegh-e-qatil Ke Jise Dhone Nahin Dete

hain dhabbe tegh-e-qatil ke jise dhone nahin dete

mere ahbab tajdid-e-wafa hone nahin dete

meri wahshat ke sae jhankte rahte hain rauzan se

ye aadam-KHor mujh ko raat-bhar sone nahin dete

shikast-e-arzu ruswai-e-fikr-o-nazar paiham

yahi haalat mujh ko aap ka hone nahin dete

taqaza-e-wafa mein bhi sitam ka ek pahlu hai

main rona chahta hun aur wo rone nahin dete

'habib' apni KHata thi ho gae ruswa zamane mein

ki hum sehn-e-chaman mein bijliyan bone nahin dete

(676) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hain Dhabbe Tegh-e-qatil Ke Jise Dhone Nahin Dete In English By Famous Poet Habeeb Aarvi. Hain Dhabbe Tegh-e-qatil Ke Jise Dhone Nahin Dete is written by Habeeb Aarvi. Read famous Poem Hain Dhabbe Tegh-e-qatil Ke Jise Dhone Nahin Dete for youth and Student by Habeeb Aarvi. Free Download Hain Dhabbe Tegh-e-qatil Ke Jise Dhone Nahin Dete in PDF.