Is Tarah Dard Ka Tum Apne Mudawa Karna

is tarah dard ka tum apne mudawa karna

yaad-e-mazi ko charagh-e-rah-e-farda karna

teri duzdida-nigahi ke main sau bar nisar

dekhne wale isi chah se dekha karna

hashr tak jine ka arman liye baiTha hun

tum zara zist ke asbab muhayya karna

KHwahish-e-did ki tauhin hai jalwon ka KHayal

meri nazron ka taqaza hai ki parda karna

ek ehsan hai qudrat ki jafa-kari par

us ki duniya mein bhi jine ki tamanna karna

meri taskin ke liye phir koi wada kije

aap par farz nahin wade ka ifa karna

husn betab ho KHud wasl ki KHatir ai 'habib'

ishq ko chahiye andaz wo paida karna

(908) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Tarah Dard Ka Tum Apne Mudawa Karna In English By Famous Poet Habeeb Aarvi. Is Tarah Dard Ka Tum Apne Mudawa Karna is written by Habeeb Aarvi. Read famous Poem Is Tarah Dard Ka Tum Apne Mudawa Karna for youth and Student by Habeeb Aarvi. Free Download Is Tarah Dard Ka Tum Apne Mudawa Karna in PDF.