Be-niyazi Se Mudaraat Se Dar Lagta Hai

be-niyazi se mudaraat se Dar lagta hai

jaane kya baat hai har baat se Dar lagta hai

saghar-e-baada-e-gul-rang to kuchh dur nahin

nigah-e-pir-e-KHarabaat se Dar lagta hai

dil pe khai hui ek choT ubhar aati hai

tere diwane ko barsat se Dar lagta hai

ai dil afsana-e-aghaz-e-wafa rahne de

mujh ko bite hue lamhat se Dar lagta hai

hath se zabt ka daman na kahin chhuT jae

aap ki pursish-e-haalat se Dar lagta hai

main jo us bazm mein jata nahin 'ashar' mujh ko

apne sahme hue jazbaat se Dar lagta hai

(837) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-niyazi Se Mudaraat Se Dar Lagta Hai In English By Famous Poet Habeeb Ashar Dehlavi. Be-niyazi Se Mudaraat Se Dar Lagta Hai is written by Habeeb Ashar Dehlavi. Read famous Poem Be-niyazi Se Mudaraat Se Dar Lagta Hai for youth and Student by Habeeb Ashar Dehlavi. Free Download Be-niyazi Se Mudaraat Se Dar Lagta Hai in PDF.