BichhaDo To Ye Dhyan Rakhna

bichhaDo to ye dhyan rakhna

milne ka imkan rakhna

baat asar gahra karti hai

lafzon mein kuchh jaan rakhna

milne jab jaana ho us se

rasta sunsan rakhna

achchha hai munh band rahe to

jism ko lekin kan rakhna

wo jab hairan karne aae

us ko bhi hairan rakhna

aur kisi par ho na ho par

KHud par to iman rakhna

samne ho jab farishte

KHud ko tum insan rakhna

hum donon ke afsane ka

achchha sa unwan rakhna

waqt-e-zarurat kaam aae jo

aisa bhi saman rakhna

(804) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BichhaDo To Ye Dhyan Rakhna In English By Famous Poet Habeeb Kaifi. BichhaDo To Ye Dhyan Rakhna is written by Habeeb Kaifi. Read famous Poem BichhaDo To Ye Dhyan Rakhna for youth and Student by Habeeb Kaifi. Free Download BichhaDo To Ye Dhyan Rakhna in PDF.