Gar Main Nahin To Dard Ka Paikar Koi To Hai
gar main nahin to dard ka paikar koi to hai
Thahri hui nigah mein manzar koi to hai
dastak hui hai muddaton mein phir usi tarah
tu hai hawa hai wahm hai dar par koi to hai
ye aasman taron bhara KHub jaaniye
footpath ke bichhaune pe chhappar koi to hai
is shahr-e-be-aman mein bandish ke bawajud
milta hai mujh se aaj bhi khul kar koi to hai
chaliye ki lauT chalte hain phir aaj raat hum
tanhai hi sahi wahan ghar par koi to hai
ye kya ki mujh ko dekh ke aansu nikal paDe
sach bolta hai jo tere andar koi to hai
'kaifi' ko yaad karte hain ab har tarah ke log
zinda tumhaare shahr mein mar kar koi to hai
(628) Peoples Rate This