Usko Dekha To Nam Bhul Gaya

us ko dekha to nam bhul gaya

phir main karna kalam bhul gaya

bhul kar wo bhi sab gile aaya

main bhi shikwe tamam bhul gaya

us ki aankhon ki baat aisi chhiDi

main uThana hi jam bhul gaya

aaj taslim karna bhula wo

main bhi karna salam bhul gaya

kal wo bhula tha baat kahne ki

aaj us ka ghulam bhul gaya

yun hi uljha main kal ki shab us se

wo bhi rakhta hai dam bhul gaya

us ne dil mein maqam paya hai

jo bhi apna maqam bhul gaya

(781) Peoples Rate This


Fatal error: Uncaught PDOException: SQLSTATE[42S22]: Column not found: 1054 Unknown column 'id' in 'ORDER BY' in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php:544 Stack trace: #0 /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php(544): PDOStatement->execute() #1 {main} thrown in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php on line 544