Dekh Lo Tum KHu-e-atish Ai Qamar Shishe Mein Hai

dekh lo tum KHu-e-atish ai qamar shishe mein hai

aks dagh-e-mahr ka itna asar shishe mein hai

log kahte hain tere ruKHsar-e-taban dekh kar

shama hai fanus mein ya aab-e-zar shishe mein hai

raat din rahti hai niyyat baada-e-gul-rang mein

ye pari wo hai ki jo aaThon pahar shishe mein hai

saad-e-simin se tere us ko kya nisbat bhala

tauba tauba kab latafat is qadar shishe mein hai

hoti hai gharq-e-araq kyun tu siwae bu-e-gul

aur kya ai bulbul-e-shorida-sar shishe mein hai

mai-kada tera rahe aabaad KHum ki KHair ho

han pila de mujh ko saqi jis qadar shishe mein hai

KHak se meri bhala kya waqt ka ho imtiyaz

har ghaDi ban kar bagula muntashar shishe mein hai

ye guman hota hai aks-e-mahr-e-sahba dekh kar

dagh-e-ulfat ko liye KHun-e-jigar shishe mein hai

hazrat-e-waiz na aisa waqt hath aaega phir

sab hain be-KHud tum bhi pi lo kuchh agar shishe mein hai

khinch sake hargiz musawwir se na timsal-e-adam

dekh lo taswir-e-jaanan ta-kamar shishe mein hai

thoDi thoDi rah mein pi lenge gar kam hai to kya

dur hai mai-KHana ye zad-e-safar shishe mein hai

mai pila kar mujh se kahte hain wo ho kar be-hijab

chaDh gai aaankhon pe jab ainak nazar shishe mein hai

kyun na zor-e-taba sab ahbab dikhlaen 'habib'

imtihan-e-husn nazm-e-yak-digar shishe mein hai

(1011) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekh Lo Tum KHu-e-atish Ai Qamar Shishe Mein Hai In English By Famous Poet Habeeb Musvi. Dekh Lo Tum KHu-e-atish Ai Qamar Shishe Mein Hai is written by Habeeb Musvi. Read famous Poem Dekh Lo Tum KHu-e-atish Ai Qamar Shishe Mein Hai for youth and Student by Habeeb Musvi. Free Download Dekh Lo Tum KHu-e-atish Ai Qamar Shishe Mein Hai in PDF.