Falak Ki Gardishen Aisi Nahin Jin Mein Qadam Thahre

falak ki gardishen aisi nahin jin mein qadam Thahre

sakun dushwar hai kyunkar tabiat koi dam Thahre

qaza ne doston se dekhiye aaKHir kiya nadim

kiye the ahd-o-paiman jis qadar wo kul adam Thahre

chhua tu ne jise mara use ai afai-e-gesu

ye sab tiryaq mere tajraba karne mein sam Thahre

kiya jab ghaur koson dur nikli manzil-e-maqsad

kabhi gar pa-e-shal uTThe to chal kar do qadam Thahre

laga kar dil juda hona na thi shart-e-wafa sahab

gham-e-furqat ki shiddat se karam jaur-o-sitam Thahre

jo kuchh dekha wo aaina tha aane wali haalat ka

jahan dekha yahi aaankhon ke kanse jam-e-jam Thahre

amal kahne pe apne hazrat-e-waiz karen pahle

gunah ke mo'tarif jab hain to wo kab mohtaram Thahre

jawani ki siyah-masti mein wasf-e-zulf likkha tha

baDha wo silsila aisa ki hum mushkin qalam Thahre

ye sabit hai ki mutlaq ka tayyun ho nahin sakta

wo salik hi nahin jo chal ke ta-dair-o-haram Thahre

bashar ko qaid-e-kulfat maya-e-andoh-o-afat hai

rahe achchhe jo is mehman-sara mein aa ke kam Thahre

'habib'-e-na-tawan se rah-e-ulfat tai nahin hoti

ajab kya gar ye rasta jada-e-mulk-e-adam Thahre

(1744) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Falak Ki Gardishen Aisi Nahin Jin Mein Qadam Thahre In English By Famous Poet Habeeb Musvi. Falak Ki Gardishen Aisi Nahin Jin Mein Qadam Thahre is written by Habeeb Musvi. Read famous Poem Falak Ki Gardishen Aisi Nahin Jin Mein Qadam Thahre for youth and Student by Habeeb Musvi. Free Download Falak Ki Gardishen Aisi Nahin Jin Mein Qadam Thahre in PDF.