Fariyaad Bhi Main Kar Na Saka Be-KHabari Se

fariyaad bhi main kar na saka be-KHabari se

dil khinch liya us ne kamand-e-nazari se

us but ko kiya ram na soz-e-jigri se

nale mere badnam hue be-asari se

kab dil pe asar karta hai zalim ka tamalluq

milte hain kahin zaKHm-e-jigar baKHiya-gari se

hai saya-fagan taza nihaal-e-chaman-e-husn

nisbat mere dil ko hai aqiq-e-shajri se

uD jate tere hosh mere naghmon se bulbul

kar shukr ki majbur hun be-baal-o-pari se

har lutf se KHali hai farogh-e-dam-e-piri

raushan hua ye nur charagh-e-sahari se

daman ki kali baad-e-saba khol sake kab

satir nahin Darte hain kabhi parda-dari se

ulfat ka shajar sarw-qadon ki hai hari shaKH

ushshaq ko bawar hua ye be-samari se

kahte hain wo sun kar KHabar-e-rehlat-e-ushshaq

jaldi gaya kahna tha hamein kuchh safari se

hon lakh KHatar kucha-e-dilbar na chhuTega

uTh sakti hai zillat bhi kahin mard-e-jari se

nafrat nahin lazim tujhe zalim ewaz-e-rahm

baiTha hun main dil kho ke teri hila-gari se

aamil karen ek bar agar band to mai-kash

KHali karen sau martaba shishe ko pari se

kar dete hain yun harza-dara ko kamla-band

lab zaKHm ke jis tarah milen baKHiya-gari se

aghyar hue kab meri nakaami ka bais

mahrumiyan paida huin aashufta-sari se

kar ghair ko apna ki muradon ka nishan de

bekar wo paikan hai juda ho jo sari se

aamal-e-'habib'-e-jigar-afgar ki kashti

sahil pe pahunch jaegi ashkon ki tari se

(810) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fariyaad Bhi Main Kar Na Saka Be-KHabari Se In English By Famous Poet Habeeb Musvi. Fariyaad Bhi Main Kar Na Saka Be-KHabari Se is written by Habeeb Musvi. Read famous Poem Fariyaad Bhi Main Kar Na Saka Be-KHabari Se for youth and Student by Habeeb Musvi. Free Download Fariyaad Bhi Main Kar Na Saka Be-KHabari Se in PDF.