Gulon Ka Daur Hai Bulbul Maze Bahaar Mein LuT

gulon ka daur hai bulbul maze bahaar mein luT

KHizan machaegi aate hi is dayar mein luT

kushud-e-kar ki koshish mein de na hirs ko daKHl

shikast deti hai faujon ko kar-zar mein luT

lubhae saikDon dil un ke KHal-e-ariz ne

machae zangiyon ne wadi-e-tatar mein luT

wo muntazim hai rahe jis ki juz-o-kul pe nazar

na kar sake koi gungir karobar mein luT

jahan mein hoti hai ehsan ki jaza ehsan

sawab nekiyon ke daur-e-iKHtiyar mein luT

abas hai bund ka chuka agar ghaDe Dhalkae

hamesha naqd mein wara hai yan udhaar mein luT

kiye hain sheb ne sab jism ke qawa kamzor

shurua ho gai har samt is hisar mein luT

hujum-e-yas mein chhoD ai ummid kishwar-e-dil

hai qatl-e-am ka ghul shahr mein jawar mein luT

bane wo fateh-e-kaunain KHush ho tu jis se

zyaada ganj-e-kawakib se ho shumar mein luT

dayar-e-dil mein hai phir dagh-e-ishq ka toDa

junun mata-e-hawas mausam-e-bahaar mein luT

bhari hai taza har ek sar mein shor-o-shar ki hawa

ajab nahin jo mache bagh-e-rozgar mein luT

'habib' mashq-e-riyazat se kho ke zang-e-dui

maze visal ke har dam firaq-e-yar mein luT

(875) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gulon Ka Daur Hai Bulbul Maze Bahaar Mein LuT In English By Famous Poet Habeeb Musvi. Gulon Ka Daur Hai Bulbul Maze Bahaar Mein LuT is written by Habeeb Musvi. Read famous Poem Gulon Ka Daur Hai Bulbul Maze Bahaar Mein LuT for youth and Student by Habeeb Musvi. Free Download Gulon Ka Daur Hai Bulbul Maze Bahaar Mein LuT in PDF.