Hai Nau-jawani Mein Zoaf-e-piri Badan Mein Rasha Kamar Mein KHam Hai

hai nau-jawani mein zoaf-e-piri badan mein rasha kamar mein KHam hai

zamin pe saya hai apne qad ka ki jada-e-manzil-e-adam hai

yahi hai rasm-e-jahan-e-fani isi mein kaTti hai zindagani

kabhi hai saman-e-aish-o-rahat kabhi hujum-e-gham-o-alam hai

batao kyun chup ho munh se bolo guhar-fishan ho dahan to kholo

aziz rakhte ho jis ko dil se usi ke sar ki tumhein qasam hai

haTao aaine ko KHudara labon pe aaya hai dam hamara

banaw tum dekhte ho apna yahan hai dhaDka ki raat kam hai

tumhaare kuche mein jab se baiThe bhulae dil se sabhi tariqe

KHuda hi shahid jo jaante hon kahan kalisa kahan haram hai

abas hai koshish husul-e-zar mein KHayal-e-fasid ko rakh na sar mein

wahi milega azal se jo kuchh har ek ke nam par raqam hai

farishte jannat ko le chale the pa tere kuche mein hum jo pahunche

machal gae un se kah ke chhoDo hamein yahi gulshan-e-iram hai

juda ho jab yar apna saqi kahan ki sohbat sharab kaisi

pilaen gar KHizr aab-e-haiwan hum us ko samjhen yahi ki sam hai

jilae ya hum ko koi mare bahisht de ya saqar mein Dale

rahega us but ka nam lab par hamare jab tak ki dam mein dam hai

'habib' ta-chand fikr-e-daulat kabhi to kar dil se shukr-e-neamat

karim ko hai karam ki aadat magar ye ghaflat teri sitam hai

(866) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Nau-jawani Mein Zoaf-e-piri Badan Mein Rasha Kamar Mein KHam Hai In English By Famous Poet Habeeb Musvi. Hai Nau-jawani Mein Zoaf-e-piri Badan Mein Rasha Kamar Mein KHam Hai is written by Habeeb Musvi. Read famous Poem Hai Nau-jawani Mein Zoaf-e-piri Badan Mein Rasha Kamar Mein KHam Hai for youth and Student by Habeeb Musvi. Free Download Hai Nau-jawani Mein Zoaf-e-piri Badan Mein Rasha Kamar Mein KHam Hai in PDF.