Hai Nigahban RuKH Ka Khaal-ru-e-dost

hai nigahban ruKH ka KHal-ru-e-dost

hafiz-e-quran hua hindu-e-dost

hum na hon patthar ho hum pahlu-e-dost

aaina luTe bahaar-e-ru-e-dost

phir gai jab nargis-e-jadu-e-dost

sab musalman ho gae hindu-e-dost

bha gai hai dil ko aisi KHu-e-dost

aati hai har gul se mujh ko bu-e-dost

hai KHayal-e-ariz-o-gesu-e-dost

gah musalman hun kabhi hindu-e-dost

sau balaen aa gain ushshaq par

jab kamar tak aa gae gesu-e-dost

haDDiyan meri na khana ai huma

dant rakhte hain sagan-e-ku-e-dost

aag bhaDke kyun na pahlu mein mere

ghair hain wan aaj hum pahlu-e-dost

asl ye hai naql-e-mehrab-e-haram

sajda wajib hai tah-e-abru-e-dost

tegh-e-abru par kaTe lakhon gale

ban gaya ganj-e-shahidan ku-e-dost

dil hua maftun nigah-e-yar ka

sher-afgan hain magar aahu-e-dost

baad-e-murdan qabr mein aaThon pahar

aaega mujh ko KHayal-e-ru-e-dost

phir raha hai aaj putli ki tarah

meri aankhon mein qad-e-dil-ju-e-dost

hai KHayal-e-KHal-e-mushkin raat din

dil ko mere jaan lo mushku-e-dost

ab wahi sar hai ki Takraata hun main

wasl mein ye tha sar-e-zanu-e-dost

kya koi aafat abhi baqi hai aur

le chala hai dil mujhe phir su-e-dost

le uDi be-saKHta dil ko mere

aa gai jis dam hawa-e-ku-e-dost

rang-e-ulfat se miTa zang-e-dui

ho gai hai mujh mein paida bu-e-dost

ghairat-e-mansur hun main ai 'habib'

har ghaDi hun sarf-e-ha-o-hu-e-dost

(880) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Nigahban RuKH Ka Khaal-ru-e-dost In English By Famous Poet Habeeb Musvi. Hai Nigahban RuKH Ka Khaal-ru-e-dost is written by Habeeb Musvi. Read famous Poem Hai Nigahban RuKH Ka Khaal-ru-e-dost for youth and Student by Habeeb Musvi. Free Download Hai Nigahban RuKH Ka Khaal-ru-e-dost in PDF.