Hue KHalq Jab Se Jahan Mein Hum Hawas-e-nazara-e-yar Hai

hue KHalq jab se jahan mein hum hawas-e-nazara-e-yar hai

Thahar ai ajal ki wo aaenge dam-e-wapsin ka qarar hai

rahen mahw kyun na har ek dam ki nazar mein jalwa-e-yar hai

dil-e-muntazir hai jo aaina to KHayal aaina-dar hai

ye KHata-e-ishq ki di saza ki mizha se mardum-e-chashm ne

mera dil dikha ke ye kah diya ise lo ye qabil-e-dar hai

ye KHuda hi jaane wo kaun tha jo shahid-e-naz-o-ada hua

ki uDi hai KHak-e-rah-e-sanam to KHizan mein rang-e-bahaar hai

huin tark sari mohabbaten mere sar pe Dhai hain aafaten

yahi dil ke lene mein shart thi yahi mujh se qaul-o-qarar hai

ye junun ki dekhiye puKHtagi jo kabhi kisi ne na ho suni

mere pairahan ka jo tar hai wo har ek resha-e-KHar hai

koi dil ki nikli na aarzu hua ranj-o-gham se jigar lahu

phire KHak chhante ku-ba-ku na to sabr hai na qarar hai

pas-e-marg bhi hain wahi sitam hain jafaen ruh pe dam-ba-dam

idhar aate aate wo phir gae jo suna ki mera mazar hai

mere sine ko na hadaf karo tapish-e-jigar se Dare raho

par-e-murgh-e-tir na jal uThen ki lahu ba-rang-e-sharar hai

wo KHushi dikhai na charKH ne ki ewaz mein jis ke na gham diye

kabhi farsh-e-gul hai jo ek shab to mahinon bistar-e-KHar hai

jise dard-e-nala-o-ah hai jo shahid-e-tegh-e-nigah hai

shab-e-hijr us ki gawah hai wo 'habib'-e-sina-figar hai

(878) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hue KHalq Jab Se Jahan Mein Hum Hawas-e-nazara-e-yar Hai In English By Famous Poet Habeeb Musvi. Hue KHalq Jab Se Jahan Mein Hum Hawas-e-nazara-e-yar Hai is written by Habeeb Musvi. Read famous Poem Hue KHalq Jab Se Jahan Mein Hum Hawas-e-nazara-e-yar Hai for youth and Student by Habeeb Musvi. Free Download Hue KHalq Jab Se Jahan Mein Hum Hawas-e-nazara-e-yar Hai in PDF.