Jab Sham Hui Dil Ghabraya Log UTh Ke Barae Sair Chale

jab sham hui dil ghabraya log uTh ke barae sair chale

taftish-e-sanam ko su-e-haram hum jaan ke dil mein dair chale

go bahr-e-alam tufani hai har mauj adu-e-jaani hai

ab panw rukenge kya apne is dariya ko hum pair chale

ab kaam hamara yan kya hai ye aana jaana beja hai

jis waqt tumhaari sohbat mein hum hon aur hukm-e-ghair chale

hum samjhe the yan aaenge din thoDa hai rah jaenge

par dil ki hasrat dil mein rahi jab su-e-makan-e-ghair chale

go ranj-e-judai hai dil par be-waqt hai ye daur-e-saghar

baiThe hain 'habib' ahbab magar ab tum bhi kah do KHair chale

(762) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Sham Hui Dil Ghabraya Log UTh Ke Barae Sair Chale In English By Famous Poet Habeeb Musvi. Jab Sham Hui Dil Ghabraya Log UTh Ke Barae Sair Chale is written by Habeeb Musvi. Read famous Poem Jab Sham Hui Dil Ghabraya Log UTh Ke Barae Sair Chale for youth and Student by Habeeb Musvi. Free Download Jab Sham Hui Dil Ghabraya Log UTh Ke Barae Sair Chale in PDF.