Mehr-o-ulfat Se Maal-e-tahzib

mehr-o-ulfat se maal-e-tahzib

KHaksari hai kamal-e-tahzib

hai wo aaraish-e-husn-e-baatin

jis ko kahte hain jamal-e-tahzib

kam nahin mardumak-e-chashm se kuchh

ruKH-e-insan pe KHal-e-tahzib

aaj-kal hum mein agar sach puchho

shakl anqa hai misal-e-tahzib

kabhi hota nahin bad-waza ka KHauf

hai ajab jah-o-jalal-e-tahzib

ruKH pe karta hai matanat paida

dil mein aate hi KHayal-e-tahzib

apne matlab ka jahan kuchh ho lagaw

nahin rahta hai KHayal-e-tahzib

qaum ka apne na ghaTta wo uruj

ho na jata jo zawal-e-tahzib

jam-e-jam se hai kahin pur-tamkin

bazm-e-KHullat mein sifal-e-tahzib

us ka KHun karte hain jo nahaq-kosh

un ki gardan pe wabaal-e-tahzib

murda qaumon ke liye aab-e-hayat

banta jata hai zulal-e-tahzib

badr ban jaega chande mein 'habib'

haq ne chaha to hilal-e-tahzib

(846) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mehr-o-ulfat Se Maal-e-tahzib In English By Famous Poet Habeeb Musvi. Mehr-o-ulfat Se Maal-e-tahzib is written by Habeeb Musvi. Read famous Poem Mehr-o-ulfat Se Maal-e-tahzib for youth and Student by Habeeb Musvi. Free Download Mehr-o-ulfat Se Maal-e-tahzib in PDF.