Qata Hota Rahe Is Tarah Bayan-e-waiz

qata hota rahe is tarah bayan-e-waiz

ek hi baat mein ho band zaban-e-waiz

turfa-afat mein phansi aati hai jaan-e-waiz

kaun mai-KHana mein tha martaba-dan-e-waiz

kyun na mina-e-mai-e-nab paTak dun sar par

aish jab talKH ho sun sun ke bayan-e-waiz

is tarah pand-o-nasihat ki uThai tamhid

aaj saqi pe hua mujh ko guman-e-waiz

tezi-e-baada kuja talKHi-e-guftar kuja

kund hai nashtar-e-saqi se sinan-e-waiz

fasl-e-gul aate hi mai-KHana mein ek bhiD hui

na suni ek bhi rindon ne fughan-e-waiz

phir dar-e-pir-e-KHarabaat pe baiTha hai 'habib'

ye to aaya tha abhi sun ke bayan-e-waiz

(541) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qata Hota Rahe Is Tarah Bayan-e-waiz In English By Famous Poet Habeeb Musvi. Qata Hota Rahe Is Tarah Bayan-e-waiz is written by Habeeb Musvi. Read famous Poem Qata Hota Rahe Is Tarah Bayan-e-waiz for youth and Student by Habeeb Musvi. Free Download Qata Hota Rahe Is Tarah Bayan-e-waiz in PDF.