Rona In Ka Kaam Hai Har Dam Jal Jal Kar Mar Jaana Bhi

rona in ka kaam hai har dam jal jal kar mar jaana bhi

jaan-e-jahan ushshaq tumhaare shama bhi hain parwana bhi

sari umr mein jo guzri thi hum par wo rudad likhi

par hui yun mashhur ki jaisa ho na koi afsana bhi

ishq sabhi karte hain magar jo haalat mujh par tari hai

munh se kahun gar hath malega apna bhi begana bhi

puchhte kya ho mera Thikana ek jagah gar ho to kahun

rahguzar hai yar ka dar hai masjid bhi mai-KHana bhi

rah-e-talab mein chalte phirte lakhon aate jate hain

KHalq mein hai ushshaq ki manzil kaba bhi but-KHana bhi

mujh par wo be-taur KHafa hain ghairon ke bahkane se

milna kaisa baat kahan ki band hai aana jaana bhi

ek hamin kya pech mein hain us zulf-e-dota ki ulfat se

mar-e-siyah ham-rang hai apna sumbul-e-tar bhi shana bhi

kar di sohbat darham-o-barham kis ki chashm ke afsun ne

bahka saqi Dhalki botal aur chhalka paimana bhi

waiz ke munh par na kaho kuchh shara ki hurmat lazim hai

rindi mein mashrut nahin hain baaten aazadana bhi

KHanjar-e-abru tegh-e-nigah taqrir-e-musalsal chashm-e-siyah

tez bhi hai KHun-rez bhi dil-awez bhi hai mastana bhi

kuche mein us ke jama hain aashiq bhiD lagi hai koson tak

shor bhi hai hangama bhi hai shane se chhilta shana bhi

KHalwat-e-dil mein chain se baiTho kis se takalluf karte ho

ghar hai tumhaara tum ho yahan mehman bhi sahab-KHana bhi

nam 'habib'-e-muztar ka malum nahin sab kahte hain

dard-rasida aafat-dida wahshi bhi diwana bhi

(794) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rona In Ka Kaam Hai Har Dam Jal Jal Kar Mar Jaana Bhi In English By Famous Poet Habeeb Musvi. Rona In Ka Kaam Hai Har Dam Jal Jal Kar Mar Jaana Bhi is written by Habeeb Musvi. Read famous Poem Rona In Ka Kaam Hai Har Dam Jal Jal Kar Mar Jaana Bhi for youth and Student by Habeeb Musvi. Free Download Rona In Ka Kaam Hai Har Dam Jal Jal Kar Mar Jaana Bhi in PDF.