Shab Ko Nala Jo Mera Ta-ba-falak Jata Hai
shab ko nala jo mera ta-ba-falak jata hai
subh ko mahr ke parde mein chamak jata hai
apna paimana-e-dil hai mai-e-gham se labrez
bund se baada-e-ishrat ki chhalak jata hai
kamar-e-yar ki likhta hun nazakat jis dam
KHama sau martaba kaghaz pe lachak jata hai
yaad aati hai kabhi sohbat-e-ahbab agar
ek shoala hai ki sine mein bhaDak jata hai
chandni chhupti hai takyon ke tale aaankhon mein KHwab
sone mein un ka dupaTTa jo sarak jata hai
wasl ke zikr pe kahte hain bigaD kar dekho
aisi baaton se kaleja mera pak jata hai
dil liya hai to KHuda ke liye kah do sahab
muskuraate ho tumhin par mera shak jata hai
pyar karne ko jo baDhta hun to kahte hain haTo
nashshe mein aa ke koi aisa bahak jata hai
saqiya jam pila siKH se utra hai kabab
der achchhi nahin ab lutf-e-gazak jata hai
lab-e-KHandan se na den kis liye qatil ko dua
roz zaKHmon pe namak aa ke chhiDak jata hai
shefta shahid-e-rana-e-suKHan ka hun 'habib'
nae andaz pe dil mera phaDak jata hai
(783) Peoples Rate This