Shab Ki Mutrib Tha Sharab-e-nab Thi Paimana Tha
shab ki mutrib tha sharab-e-nab thi paimana tha
wo pari-wash kya na tha goya ki jo kuchh tha na tha
soz-e-dil se lab ye har dam nala betabana tha
hijr-e-saqi mein kisi pahlu qarar asla na tha
jalwa-gar dil mein KHayal-e-ariz-e-jaanana tha
ghar ki zinat thi ki zinat-baKHsh sahab-KHana tha
kya karun ab mubtala hun aap apne haal mein
di thi neamat us ne jab lab par mere shukrana tha
shohra-e-afaq hoti meri az-KHud-raftagi
KHairiyat guzri ki aaankhon se tujhe dekha na tha
fasl-e-gul mein chhoDta mai dekh kar mah-e-siyam
kuchh junun mujh ko na tha wahshat na thi sauda na tha
kya kahun Dar ye hai wo laila-ada ruswa na ho
warna majnun se bhi kuchh baDh kar mera afsana na tha
gar nazakat mein na hota misl-e-tar-e-ankabut
KHub ulfat se zamana mein koi rishta na tha
yun zaifi aa gai goya azal se the zaif
aur shabab aisa gaya jaise kabhi aaya na tha
hai yaqin aashiq tumhaara mar gaya ho lo KHabar
main ne kal dekha tha ja kar haal kuchh achchha na tha
nim-baz aankhen tumhaara nam tha wird-e-zaban
zaKHm-e-dil par hath tha lab par magar shikwa na tha
baKHt ki bargasht-agi guzri hai had se ai 'habib'
dekhte hain un ke talwe jin ka munh dekha na tha
(991) Peoples Rate This