Wo UTThe Hain Tewar Badalte Hue

wo uTThe hain tewar badalte hue

chalo dekhen talwar chalte hue

na dekha tere daur mein ai falak

nihaal-e-tamanna ko phalte hue

hain angusht-hairat-ba-dandan masih

wo murde jilate hain chalte hue

chalo mai-kada mahfil-e-waz se

ye ammame dekho uchhalte hue

zaban par tera nam jab aa gaya

to girte ko dekha sambhalte hue

mohabbat mein pae har ek rah se

hazaron hi raste nikalte hue

hain kya un ki zulfen ye ai dil na puchh

chhalawe ko dekha hai chhalte hue

bane juzw-e-tan jab chubhe KHar-e-gham

ye kanTe na dekhe nikalte hue

kiya kuchh na jab tak raha iKHtiyar

jahan se chale hath malte hue

gham-e-ishq paida hua mere sath

use guzri ek umr palte hue

ruke kis tarah tegh-e-abru ka war

suna hai ajal ko bhi Talte hue

in aaankhon ke fitnon ka kya puchhna

ye jadu hain lakhon mein chalte hue

nahin shama-e-ariz pe KHat jama hain

hazaron hi parwane jalte hue

fasane hain mashhur ushshaq ke

kaTi umr furqat mein jalte hue

jawan marte dekhe bahut na-murad

suna hoga arman nikalte hue

nahin khel chalna rah-e-ishq mein

zara panw rakhna sambhalte hue

jo mashhur sabit qadam the 'habib'

unhen hum ne dekha phisalte hue

(840) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo UTThe Hain Tewar Badalte Hue In English By Famous Poet Habeeb Musvi. Wo UTThe Hain Tewar Badalte Hue is written by Habeeb Musvi. Read famous Poem Wo UTThe Hain Tewar Badalte Hue for youth and Student by Habeeb Musvi. Free Download Wo UTThe Hain Tewar Badalte Hue in PDF.