Wo Yun Shakl-e-tarz-e-bayan Khinchte Hain

wo yun shakl-e-tarz-e-bayan khinchte hain

ki qail ki goya zaban khinchte hain

ye tashhir dekho sag-e-ku-e-dilbar

abhi tak meri haDDiyan khinchte hain

kare gar koi zikr ja kar hamara

wo talu se us ki zaban khinchte hain

na sadme se kyun KHushk ho KHun-e-bulbul

gulon ka araq baghban khinchte hain

baDhi hai safar mein watan ki mohabbat

makinon ko kya kya makan khinchte hain

kare kaun sauda-e-zulf-e-musalsal

hamin hain jo ye beDiyan khinchte hain

pas-e-marg mearaj aashiq ki dekho

lahad ki zamin aasman khinchte hain

nishana banaenge tir-e-nazar ka

mohabbat ke dil par nishan khinchte hain

zara dam to lene de ai maut mujh ko

Thahar kar nafas na-tawan khinchte hain

zaifi mein bhi dil mein hai yaad-e-abru

kabaada hain KHud aur kaman khinchte hain

mujhe dekh kar jab wo munh moDte hain

to dil mein chhupa kar sinan khinchte hain

ghazab hai hasinon ka taur-e-takallum

dilon ko ye jadu-bayan khinchte hain

baDha fikr mein rang zardi-e-ruKH se

ye itr-e-gul-e-zafran khinchte hain

'habib' ab zamin aasman sar pe lenge

ki nale mere bijliyan khinchte hain

(898) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Yun Shakl-e-tarz-e-bayan Khinchte Hain In English By Famous Poet Habeeb Musvi. Wo Yun Shakl-e-tarz-e-bayan Khinchte Hain is written by Habeeb Musvi. Read famous Poem Wo Yun Shakl-e-tarz-e-bayan Khinchte Hain for youth and Student by Habeeb Musvi. Free Download Wo Yun Shakl-e-tarz-e-bayan Khinchte Hain in PDF.