Bahut Raushan Hai Sham-e-gham Hamari

bahut raushan hai sham-e-gham hamari

kisi ki yaad hai hamdam hamari

ghalat hai la-talluq hain chaman se

tumhaare phul aur shabnam hamari

ye palkon par nae aansu nahin hain

azal se aankh hai pur-nam hamari

har ek lab par tabassum dekhne ki

tamanna kab hui hai kam hamari

kahi hai hum ne KHud se bhi bahut kam

na puchho dastan-e-gham hamari

(1712) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Raushan Hai Sham-e-gham Hamari In English By Famous Poet Habib Jalib. Bahut Raushan Hai Sham-e-gham Hamari is written by Habib Jalib. Read famous Poem Bahut Raushan Hai Sham-e-gham Hamari for youth and Student by Habib Jalib. Free Download Bahut Raushan Hai Sham-e-gham Hamari in PDF.