Dil Ki Baat Labon Par La Kar Ab Tak Hum Dukh Sahte Hain

dil ki baat labon par la kar ab tak hum dukh sahte hain

hum ne suna tha is basti mein dil wale bhi rahte hain

bit gaya sawan ka mahina mausam ne nazren badlin

lekin in pyasi aankhon se ab tak aansu bahte hain

ek hamein aawara kahna koi baDa ilzam nahin

duniya wale dil walon ko aur bahut kuchh kahte hain

jin ki KHatir shahr bhi chhoDa jin ke liye badnam hue

aaj wahi hum se begane begane se rahte hain

wo jo abhi is rahguzar se chaak-gareban guzra tha

us aawara diwane ko 'jalib' 'jalib' kahte hain

(1719) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ki Baat Labon Par La Kar Ab Tak Hum Dukh Sahte Hain In English By Famous Poet Habib Jalib. Dil Ki Baat Labon Par La Kar Ab Tak Hum Dukh Sahte Hain is written by Habib Jalib. Read famous Poem Dil Ki Baat Labon Par La Kar Ab Tak Hum Dukh Sahte Hain for youth and Student by Habib Jalib. Free Download Dil Ki Baat Labon Par La Kar Ab Tak Hum Dukh Sahte Hain in PDF.