Dayar-e-dagh-o-beKHud Shahr-e-dehli ChhoD Kar Tujhko

dayar-e-'dagh'-o-'beKHud' shahr-e-dehli chhoD kar tujh ko

na tha malum yun roega dil sham-o-sahar tujh ko

kahan milte hain duniya ko kahan milte hain duniya mein

hue the jo ata ahl-e-suKHan ahl-e-nazar tujh ko

tujhe markaz kaha jata tha duniya ki nigahon ka

mohabbat ki nazar se dekhte the sab nagar tujh ko

ba-qaul-e-'mir' auraq-e-musawwar the tere kuche

magar hae zamane ki lagi kaisi nazar tujh ko

na bhulega hamari dastan tu bhi qayamat tak

dilaenge hamari yaad tere rahguzar tujh ko

jo tere gham mein bahta hai wo aansu rashk-e-gauhar hai

samajhte hain mata-e-dida-o-dil dida-war tujh ko

main 'jalib'-dehlawi kahla nahin sakta zamane mein

magar samjha hai main ne aaj tak apna hi ghar tujh ko

(1366) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dayar-e-dagh-o-beKHud Shahr-e-dehli ChhoD Kar Tujhko In English By Famous Poet Habib Jalib. Dayar-e-dagh-o-beKHud Shahr-e-dehli ChhoD Kar Tujhko is written by Habib Jalib. Read famous Poem Dayar-e-dagh-o-beKHud Shahr-e-dehli ChhoD Kar Tujhko for youth and Student by Habib Jalib. Free Download Dayar-e-dagh-o-beKHud Shahr-e-dehli ChhoD Kar Tujhko in PDF.