Faiz Aur Faiz Ka Gham Bhulne Wala Hai Kahin

'faiz' aur 'faiz' ka gham bhulne wala hai kahin

maut ye tera sitam bhulne wala hai kahin

hum se jis waqt ne wo shah-e-suKHan chhin liya

hum ko wo waqt-e-alam bhulne wala hai kahin

tere ashk aur bhi chamkaengi yaaden us ki

hum ko wo dida-e-nam bhulne wala hai kahin

kabhi zindan mein kabhi dur watan se ai dost

jo kiya us ne raqam bhulne wala hai kahin

aaKHiri bar use dekh na pae 'jalib'

ye muqaddar ka sitam bhulne wala hai kahin

(1892) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Faiz Aur Faiz Ka Gham Bhulne Wala Hai Kahin In English By Famous Poet Habib Jalib. Faiz Aur Faiz Ka Gham Bhulne Wala Hai Kahin is written by Habib Jalib. Read famous Poem Faiz Aur Faiz Ka Gham Bhulne Wala Hai Kahin for youth and Student by Habib Jalib. Free Download Faiz Aur Faiz Ka Gham Bhulne Wala Hai Kahin in PDF.