Ghaalib-o-yagana Se Log Bhi The Jab Tanha

'ghaalib'-o-'yagana' se log bhi the jab tanha

hum se tai na hogi kya manzil-e-adab tanha

fikr-e-anjuman kis ko kaisi anjuman pyare

apna apna gham sab ka sochiye to sab tanha

sun rakho zamane ki kal zaban par hogi

hum jo baat karte hain aaj zer-e-lab tanha

apni rahnumai mein ki hai zindagi hum ne

sath kaun tha pahle ho gae jo ab tanha

mehr-o-mah ki surat muskura ke guzre hain

KHak-dan-e-tira se hum bhi roz-o-shab tanha

kitne log aa baiThe pas mehrban ho kar

hum ne KHud ko paya hai thoDi der jab tanha

yaad bhi hai sath un ki aur gham-e-zamana bhi

zindagi mein ai 'jalib' hum hue hain kab tanha

(1741) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghaalib-o-yagana Se Log Bhi The Jab Tanha In English By Famous Poet Habib Jalib. Ghaalib-o-yagana Se Log Bhi The Jab Tanha is written by Habib Jalib. Read famous Poem Ghaalib-o-yagana Se Log Bhi The Jab Tanha for youth and Student by Habib Jalib. Free Download Ghaalib-o-yagana Se Log Bhi The Jab Tanha in PDF.