Ghar Ke Zindan Se Use Fursat Mile To Aae Bhi

ghar ke zindan se use fursat mile to aae bhi

jaan-faza baaton se aa ke mera dil bahlae bhi

lag ke zindan ki salaKHon se mujhe wo dekh le

koi ye paigham mera us talak pahunchae bhi

ek chehre ko tarasti hain nigahen subh o sham

zau-fishan KHurshid bhi hai chandni ke sae bhi

siskiyan leti hawaen phir rahi hain der se

aansuon ki rut mere ab gulistan se jae bhi

roz hansta hai salibon se udhar mah-e-munir

us ke pichhe kaun hai wo chhab mujhe dikhlae bhi

(1503) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghar Ke Zindan Se Use Fursat Mile To Aae Bhi In English By Famous Poet Habib Jalib. Ghar Ke Zindan Se Use Fursat Mile To Aae Bhi is written by Habib Jalib. Read famous Poem Ghar Ke Zindan Se Use Fursat Mile To Aae Bhi for youth and Student by Habib Jalib. Free Download Ghar Ke Zindan Se Use Fursat Mile To Aae Bhi in PDF.