Ghazlen To Kahi Hain Kuchh Humne Un Se Na Kaha Ahwal To Kya

ghazlen to kahi hain kuchh hum ne un se na kaha ahwal to kya

kal misl-e-sitara ubhrenge hain aaj agar pamal to kya

jine ki dua dene wale ye raaz tujhe malum nahin

taKHliq ka ek lamha hai bahut be-kar jiye sau sal to kya

sikkon ke ewaz jo bik jae wo meri nazar mein husn nahin

ai sham-e-shabistan-e-daulat! tu hai jo pari-timsal to kya

har phul ke lab par nam mera charcha hai chaman mein aam mera

shohrat ki ye daulat kya kam hai gar pas nahin hai mal to kya

hum ne jo kiya mahsus kaha jo dard mila hans hans ke saha

bhulega na mustaqbil hum ko nalan hai jo hum se haal to kya

hum ahl-e-mohabbat pa lenge apne hi sahaare manzil ko

yaran-e-siyasat ne har-su phailae hain rangin jal to kya

duniya-e-adab mein ai 'jalib' apni bhi koi pahchan to ho

'iqbaal' ka rang uDane se tu ban bhi gaya 'iqbaal' to kya

(1543) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghazlen To Kahi Hain Kuchh Humne Un Se Na Kaha Ahwal To Kya In English By Famous Poet Habib Jalib. Ghazlen To Kahi Hain Kuchh Humne Un Se Na Kaha Ahwal To Kya is written by Habib Jalib. Read famous Poem Ghazlen To Kahi Hain Kuchh Humne Un Se Na Kaha Ahwal To Kya for youth and Student by Habib Jalib. Free Download Ghazlen To Kahi Hain Kuchh Humne Un Se Na Kaha Ahwal To Kya in PDF.