Kahin Aah Ban Ke Lab Par Tera Nam Aa Na Jae

kahin aah ban ke lab par tera nam aa na jae

tujhe bewafa kahun main wo maqam aa na jae

zara zulf ko sambhaalo mera dil dhaDak raha hai

koi aur tair-e-dil tah-e-dam aa na jae

jise sun ke TuT jae mera aarzu bhara dil

teri anjuman se mujh ko wo payam aa na jae

wo jo manzilon pe la kar kisi ham-safar ko luTen

unhin rahzanon mein tera kahin nam aa na jae

isi fikr mein hain ghaltan ye nizam-e-zar ke bande

jo tamam-e-zindagi hai wo nizam aa na jae

ye mah o nujum hans len mere aansuon pe 'jalib'

mera mahtab jab tak lab-e-baam aa na jae

(1921) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahin Aah Ban Ke Lab Par Tera Nam Aa Na Jae In English By Famous Poet Habib Jalib. Kahin Aah Ban Ke Lab Par Tera Nam Aa Na Jae is written by Habib Jalib. Read famous Poem Kahin Aah Ban Ke Lab Par Tera Nam Aa Na Jae for youth and Student by Habib Jalib. Free Download Kahin Aah Ban Ke Lab Par Tera Nam Aa Na Jae in PDF.