Kabhi To Mehrban Ho Kar Bula Len

kabhi to mehrban ho kar bula len

ye mahwash hum faqiron ki dua len

na jaane phir ye rut aae na aae

jawan phulon ki kuchh KHushbu chura len

bahut roe zamane ke liye hum

zara apne liye aansu baha len

hum un ko bhulne wale nahin hain

samajhte hain gham-e-dauran ki chaalen

hamari bhi sambhal jaegi haalat

wo pahle apni zulfen to sambhaalen

nikalne ko hai wo mahtab ghar se

sitaron se kaho nazren jhuka len

hum apne raste par chal rahe hain

janab-e-shaiKH apna rasta len

zamana to yunhi ruTha rahega

chalo 'jalib' unhen chal kar mana len

(1765) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi To Mehrban Ho Kar Bula Len In English By Famous Poet Habib Jalib. Kabhi To Mehrban Ho Kar Bula Len is written by Habib Jalib. Read famous Poem Kabhi To Mehrban Ho Kar Bula Len for youth and Student by Habib Jalib. Free Download Kabhi To Mehrban Ho Kar Bula Len in PDF.