Jiwan Mujhse Main Jiwan Se Sharmata Hun

jiwan mujh se main jiwan se sharmata hun

mujh se aage jaane walo mein aata hun

jin ki yaadon se raushan hain meri aankhen

dil kahta hai un ko bhi main yaad aata hun

sur se sanson ka nata hai toDun kaise

tum jalte ho kyun jita hun kyun gata hun

tum apne daman mein sitare baiTh kar Tanko

aur main nae baran lafzon ko pahnata hun

jin KHwabon ko dekh ke main ne jina sikha

un ke aage har daulat ko Thukraata hun

zahr ugalte hain jab mil kar duniya wale

miThe bolon ki wadi mein kho jata hun

'jalib' mere sher samajh mein aa jate hain

isi liye kam-rutba shaer kahlata hun

(1668) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jiwan Mujhse Main Jiwan Se Sharmata Hun In English By Famous Poet Habib Jalib. Jiwan Mujhse Main Jiwan Se Sharmata Hun is written by Habib Jalib. Read famous Poem Jiwan Mujhse Main Jiwan Se Sharmata Hun for youth and Student by Habib Jalib. Free Download Jiwan Mujhse Main Jiwan Se Sharmata Hun in PDF.