Kitna Sukut Hai Rasan-o-dar Ki Taraf

kitna sukut hai rasan-o-dar ki taraf

aata hai kaun jurat-e-izhaar ki taraf

dasht-e-wafa mein aabla-pa koi ab nahin

sab ja rahe hain saya-e-diwar ki taraf

qasr-e-shahi se kahte hain niklega mehr-e-nau

ahl-e-KHirad hain is liye sarkar ki taraf

weitnam-o-Korea se adu ko nikal len

aaenge lauT kar lab-o-ruKHsar ki taraf

baqi jahan mein rah gaya 'ghaalib' ka nam hi

har-chand ek hujum tha aghyar ki taraf

(1825) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kitna Sukut Hai Rasan-o-dar Ki Taraf In English By Famous Poet Habib Jalib. Kitna Sukut Hai Rasan-o-dar Ki Taraf is written by Habib Jalib. Read famous Poem Kitna Sukut Hai Rasan-o-dar Ki Taraf for youth and Student by Habib Jalib. Free Download Kitna Sukut Hai Rasan-o-dar Ki Taraf in PDF.