Kya Kya Log Guzar Jate Hain Rang-birangi Caron Mein

kya kya log guzar jate hain rang-birangi caron mein

dil ko tham ke rah jate hain dil wale bazaron mein

ye be-dard zamana hum se tera dard na chhin saka

hum ne dil ki baat kahi hai tiron mein talwaron mein

honTon par aahen kyun hotin aankhen nis-din kyun rotin

koi agar apna bhi hota unche ohde-daron mein

sadr-e-mahfil dad jise de dad usi ko milti hai

hae kahan hum aan phanse hain zalim duniya-daron mein

rahne ko ghar bhi mil jata chaak-e-jigar bhi sil jata

'jalib' tum bhi sher sunate ja ke agar darbaron mein

(1825) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Kya Log Guzar Jate Hain Rang-birangi Caron Mein In English By Famous Poet Habib Jalib. Kya Kya Log Guzar Jate Hain Rang-birangi Caron Mein is written by Habib Jalib. Read famous Poem Kya Kya Log Guzar Jate Hain Rang-birangi Caron Mein for youth and Student by Habib Jalib. Free Download Kya Kya Log Guzar Jate Hain Rang-birangi Caron Mein in PDF.