Log Giton Ka Nagar Yaad Aaya

log giton ka nagar yaad aaya

aaj pardes mein ghar yaad aaya

jab chale aae chaman-zar se hum

iltifat-e-gul-e-tar yaad aaya

teri begana-nigahi sar-e-sham

ye sitam ta-ba-sahar yaad aaya

hum zamane ka sitam bhul gae

jab tera lutf-e-nazar yaad aaya

to bhi masrur tha is shab sar-e-bazm

apne sheron ka asar yaad aaya

phir hua dard-e-tamanna bedar

phir dil-e-KHak-basar yaad aaya

hum jise bhul chuke the 'jalib'

phir wahi rahguzar yaad aaya

(1706) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Log Giton Ka Nagar Yaad Aaya In English By Famous Poet Habib Jalib. Log Giton Ka Nagar Yaad Aaya is written by Habib Jalib. Read famous Poem Log Giton Ka Nagar Yaad Aaya for youth and Student by Habib Jalib. Free Download Log Giton Ka Nagar Yaad Aaya in PDF.