Mahtab-sifat Log Yahan KHak-basar Hain

mahtab-sifat log yahan KHak-basar hain

hum mahw-e-tamasha-e-sar-e-rah-guzar hain

hasrat si barasti hai dar-o-baam pe har su

roti hui galiyan hain sisakte hue ghar hain

aae the yahan jin ke tasawwur ke sahaare

wo chand wo suraj wo shab-o-roz kidhar hain

soe ho ghani zulf ke sae mein abhi tak

ai rah-rawan kya yahi andaz-e-safar hain

wo log qadam jin ke liye kahkashan ne

wo log bhi ai ham-nafaso hum se bashar hain

bik jaen jo har shaKHs ke hathon sar-e-bazar

hum yusuf-e-kanan hain na hum lal-o-gohar hain

hum log milenge to mohabbat se milenge

hum nuzhat-e-mahtab hain hum nur-e-sahar hain

(1773) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mahtab-sifat Log Yahan KHak-basar Hain In English By Famous Poet Habib Jalib. Mahtab-sifat Log Yahan KHak-basar Hain is written by Habib Jalib. Read famous Poem Mahtab-sifat Log Yahan KHak-basar Hain for youth and Student by Habib Jalib. Free Download Mahtab-sifat Log Yahan KHak-basar Hain in PDF.